bazahir doost par darr dil hain raqeeb
doost tu voh hai jo rehta hai sheh-rag kai qareeb
kaali ko phool kai paikar mai jab dhaltay dekha
pukaar utha zamana kai tu hai sab ka habeeb
lahoo lahoo hai zamana bas uss par ek nazar
taakay rooti hoee duniyaa kai jaag jaain naseeb
haawis aur hirss sai doour hain kuch log yahan
yeh shehanshaah hain inkoo kabhi kehna na ghareeb
toodh daitay hain diloo'N ko bina soochay samjhay
jeenay ka dhang bhi alag unki guftugu bhi ajeeb
kaun kar sakta hai daam toud'tee duniya ka ilaaj
voh hee bachaiga jo hai zamanay bhar ka tabeeb
Durdana Hashmi
