• Advertisement

LauT Aao .....

Moderator: mod1

LauT Aao .....

Postby True One » Mon Jul 26, 2010 9:15 am

लौट आओ मांग के सिंदूर की सौगंध तुमको
नयन का सावन निमंत्रण दे रहा है।

आज बिसराकर तुम्हें कितना दुखी मन यह कहा जाता नहीं है।
मौन रहना चाहता, पर बिन कहे भी अब रहा जाता नहीं है।
मीत! अपनों से बिगड़ती है बुरा क्यों मानती हो?
लौट आओ प्राण! पहले प्यार की सौगंध तुमको
प्रीति का बचपन निमंत्रण दे रहा है।

रूठता है रात से भी चांद कोई और मंजिल से चरन भी
रूठ जाते डाल से भी फूल अनगिन नींद से गीले नयन भी
बन गईं है बात कुछ ऐसी कि मन में चुभ गई, तो
लौट आओ मानिनी! है मान की सौगंध तुमको
बात का निर्धन निमंत्रण दे रहा है।

चूम लूं मंजिल, यही मैं चाहता पर तुम बिना पग क्या चलेगा?
मांगने पर मिल न पाया स्नेह तो यह प्राण-दीपक क्या जलेगा?
यह न जलता, किंतु आशा कर रही मजबूर इसको
लौट आओ बुझ रहे इस दीप की सौगंध तुमको
ज्योति का कण-कण निमंत्रण दे रहा है।

दूर होती जा रही हो तुम लहर-सी है विवश कोई किनारा,
आज पलकों में समाया जा रहा है सुरमई आंचल तुम्हारा
हो न जाए आंख से ओझल महावर और मेंहदी,
लौट आओ, सतरंगी श्रिंगार की सौगंध तुम को
अनमना दपर्ण निमंत्रण दे रहा है।

कौन-सा मन हो चला गमगीन जिससे सिसकियां भरतीं दिशाएं
आंसुओं का गीत गाना चाहती हैं नीर से बोझिल घटाएं
लो घिरे बादल, लगी झडि़यां, मचलतीं बिजलियां भी,
लौट आओ हारती मनुहार की सौगंध तुमको
भीगता आंगन निमंत्रण दे रहा है।
यह अकेला मन निमंत्रण दे रहा है।
User avatar
True One
 
Posts: 386
Joined: Tue Dec 27, 2005 10:08 am

Advertisement

Re: LauT Aao .....

Postby True One » Mon Jul 26, 2010 9:15 am

LauT aao maaNg ke siNdoor ki saugaNdh tumko
nain kaa saavan nimaNtran de rahaa hai

Aaj bisraa kar tumhe kitnaa dukhee mann yah kahaa jaata nahiN hai
maun rahnaa chaahata par bin kahe bhi ab rahaa jaata nahiN hai
meet apno se biGaDtee hai bura kyoN maantee ho?
lauT aao praan pahle pyaar ki saugaNdh tumko
preeti ka bachpan nimaNtran de raha hai

rooTh.ta hai raat se bhi chaaNd koi aur maNzil se charan bhi
rooTh jaate Daal se bhi phool angin neeNd se geele nayan bhee
ban gayee hai baat kuchh aisi ki mann meiN chubh gayee , to
lauT aao maaninee hai maan ki saugaNdh tumko
baat ka nirdhan nimaNtran de rahaa hai

choom luN maNzil yahee maiN chahtaa par tum bin pag kyaa chalega
maaNgne par mil naa paaya sneh to yah praaN deepak kya jalega
yah naa jalta kiNtu aashaa kar rahee majboor isko
lauT aao bujh rahe is deep ki saugaNdh tumko
jyoti ka kan kan nimaNtran de rahaa hai

door hotee jaa rahee ho tum lahar see hai vivash koi kinaara
aaj palkoN meiN samaaya jaa raha hai surmayee aaNchal tumharaa
ho naa jaaye aaNkh se ojhal mahaavar aur mehaNdi
lauT aao satraNgee shriNgaar ki saugaNdh tumko
anmana darpan nimaNtran de rahaa hai

kaun saa mann ho chala gamgeen jis se siskiyaaN bhartee dishaayeN
aaNsuoN ka geet gaana chahtee haiN neer se bojhil ghaTaayeN
lo Ghire baadal , lagee JhaDiyaaN , machaltee bijliyaaN bhi
lauT aao haartee manuhaar ki saugaNdh tumko
bheegtaa aaNgan nimanNtran de rahaa hai
yah akelaa mann nimaNtran de raha hai


Som Thakur
User avatar
True One
 
Posts: 386
Joined: Tue Dec 27, 2005 10:08 am


Return to Poetry by Ustaads

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest