
Urdu/Hindi Poetry Books > Safar kii pagdandiyaan
Waqt ki chaal se bekhabar ho gaye
Waqt ki chaal se bekhabar ho gaye
raat din umar ke youN basar ho gaye
roshni se ulajh is kadar maiN gayaa
aNdhere mere hamsafar ho gaye
maNzil to khaRi Thi mere saamne
magar raaste darguzar ho gaye
kaarvaN se pataa pooChta maiN rahaa
gardo.gubaar meri nazar ho gaye
ASHK jannat gar nahiN yeh zamiN
kisliye chaaNd taare shajar ho gaye
![]()