
Urdu/Hindi Poetry Books > khalish
Faasla utnaa baRha kii lautna mumkin rahe
Faasla utnaa baRha kii lautna mumkin rahe
teri rah jaaye anaa kurbat bhii yeh kaayam rahe
sochta huun tuu mila bhii ya woh tanha hii rahe
ai khuda woh log jo dar pe tere daayam rahe
khuub hai rasme-wafa aur yeh junoon-e-ishq bhii
zindagi be-ruuh guzray par nafs laazim rahe
toad hii paaye na hum apni khudi ke daayre
warna kyon koii kisi se umr bhar 'barham' rahe
![]()