
Urdu/Hindi Poetry Books > khalish
daavaa-e-dosti hai to khulkar milaa karo
daavaa-e-dosti hai to khulkar milaa karo
yuun saahilon kii tarah na hatkar chala karo
hum bhii to aainaa hein aur be-zubaan nahin
parchaaiion se apni na baatein kiya karo
har shaks mere shahar ka tujhko sanam kahe
yuun muskura ke sabko na apna kaha karo
bant jaaye na naseeb mera dar-b-dar kahiin
gairon kii mehfil mein na baitha utha karo
khwaabon mein chuumne ka hamein gair se suna
lillah aisee baat to hamse kiya karo
maangein woh roz dil mera aur toadkar kahein
TooTe huwe dilon ke na Tukde chuna karo
'Barham' pilaayenge tuhein aankhon se umr bhar
lekin hamaari baahin mein sambhla gira karo
![]()