kabhi kabhi to hamen hamsafar kahaa kiije
bahaar-e-khwaab ke naa muntazir rahaa kiije.
khizaan ko maan ke kaaboos ab sahaa kiije.
(muntazir - hopefully awaiting; kaaboos - nightmare;)
yahan se kaise bataayen ke kya hai gaehraa'i
agar naa doobnaa chahen to phir bahaa kiije.
(gaehraa'i - depth)
khafaa khafaa hi sahi saath saath chalte ho
kabhi kabhi to hamen hamsafar kahaa kiije.
chalo yeh samjhe, tabaah Ayesha kiiya ham ko
magar yeh kisne kahaa tha ke baar ha kiije.
(tabaah - destroy; baar ha - repeatedly)
![]()
![]()