ek insaan ne
kisii ko kaise sataayaa hai ek insaan ne.
harek khwab bhulaayaa hai ek insaan ne.
utha ke faink diye ghonsleN parindon ke,
wahiin machaan banaayaa hai ek insaan ne.
awal to yeh ke kabhi woh jahaan tha hi nahiin
aur ab ise bhi jalaayaa hai ek insaan ne.
lahoo luhaan zamiin par gire khudaa ko utha
oose falak pe bithayaa hai ek insaan ne.
yeh zindagi hai ke fatwaah hai Ayesha ham par
jo baar baar sunaayaa hai ek insaan ne.
![]()
![]()