Yeh nayaa daur hai
Yeh nayaa daur hai iss daur ka paigaam samajh, Ghar ujadd jaane ko khushaayee-e-ayyaam samajh. Kisi kauve ne thaa koyal ka nasheman todaa, Har sayaah cheez ko kaabil-e-dushnaam samajh. Khud-faroshi ka agar tujh main saleeka hi nahin, Chod kaaoos ko isay zahmat-e-nakaam samajh. Inn Fizaaoon main mu-assar hai kisay umra-e-daraaz, Jo bhi saans aaye usay zeest ka inaam samajh. Ahd-e-jamhoor, dayanat, nayee rakhshandaa-e-sadee, sab badi baaton ko alfaaz ka ibhaam samajh. Zahar-aahlood dhuaan ho to usay abra mat maan, Shorish-e-zahal ko mat dharm ka ahkaam samajh. Yhe 'sufi' hai isay mat ched yeh sach kah degaa, Iss mohalle main isay aadmi badnaam samajh. Narindar Singh Bedi.('sukhan')
![]()
![]()