baat thee
Ashq-e-tayaan ki baat thee, ..... daag-e-nigaah ki baat thee ! Apni samjh ke kah gayaa....,saare jahaan ki baat thee !!. Wahee anaa...junoon wahee...justajoo-e-sukoon wahee ! Gardish-o-mahr-o-maah bhi...tarz-e-bayaan ki baat thee !!. Azm main bhi kamee na thee....zyadaa bhi ustavaar thaa! Raah mein main jo gir parhaa....baar-e-garaan ki baat thee!!.. Zauk-e-talab meraa hi thaa...us mein bhi to karishmaa saaz ! Aap ke lab pe kyoon ruki...meri zubaan ki baat thee !! Thaa woh 'sufi' ghazal saraa bazm main....hum chupp rahe ! Humne to sar dhunaa nahin... aisi kahaan ki baat thee !!. Narindar Singh Bedi.('sukhan')
![]()
![]()