samjhaa thaa main
Manzilein kuch aur bhi hain maah-o-anjum se pare Apni hi hadd-e-nazar ko aasmaan samjhaa thaa main Maine paayaa maut main..raaz-e-baqaa-e-zindagi Yeh meri mehfil thee jise kaarvaan samjhaa thaa main Yeh bhi hai har gaam par...minnat pazeer-e-husn-o-shauk Ishq ko to be-niaaz-e-jism-o-jaan samjhaa thaa main Woh bhi meri hi nigaah main simat kar rah gayaa Husn ko to ik bahr-e-bekaraan samajhaa thaa main Intehaa-e-gham mein bhi giriya mera shovaa na thaa Ashq ko aayinaa-e-soz-e-nigaah samajhaa thaa main Din ko phoolon ke jawaahir, shab ko taaron ke gauhar Bas yahee daulat thee jiss ko jaavindaa samajhaa thaa main Tootne se dil ke hi hoti hai takhleek-e-'sukhan' Sher ko majmooa-e-husn-e-bayaan samjhaa thaa main Narindar Singh Bedi.('sukhan')
![]()
![]()