to kahoon
Zaraa khaamoshi ko maane se sajaa loon to kahoon Zaraa alfaaz ke mahbas ko giraa loon to kahoon (alfaaz=arods; mahbas=jail) Ahl-e-daanish hain jo, tafseer-e-maho-saal karein Main zaraa lamhe ke israaR ko paa loon to kahoon (daanish=Knowledge, wisdom; tafseer= exposition; lamhe = moment) Kissa-e-dard to aasaan hai magar dil taareek Ik zaraa ashquon ki shammaa ko jalaa loon to kahoon (taareek= bbscure) kho gaya ghalghalaa-e-shahar main zauk-e-guftaar main bhi uss kasbaa-e-khaamosh main jaa loon to kahoon (zauk=interest; guftaar=convesation,speech) Dard ko sher mai dhalne ka kareena to mile Dard ko fikr ke sochon main samaa loon to kahoon Narindar Singh Bedi.('sukhan') August 1968
![]()
![]()