dukh ka haar pironaa kya
Kachi dori baasi kaliaan....dukh ka haar pironaa kya Saans nagaaraa pal-pal baaje...maut se pahle sona kya Mandir-masjid lar-larh muey...phir-phir inko rona kya Prem ka dhaagaa kho baithe to patthar se muh dhona kya Tan ki iss jheenee chaadar main..kya kya bojhe baandhe the Phatee chaadariya..raat bikhar gayee...feekaa kya aur lonaa kya (lonaa=salty) Toote dil phir se mil jaayein bhed yeh humne jaanaa hai Dhaai akhar prem ke parh lo..isse badhkar tona kya (bhed=secret; Dhaai= two and half; tona=magic ) Bigade doodh ka khoya hai ab... banaa rang naarangi hai Tab to kabira ro letaa thaa...ab rone se hona kya Gal-katiyan ki iss nagari main... baat karo sar kat-ta hai Kahat kabira suno bhai saadho... sees diya ab rona kya Narindar Singh Bedi.('sukhan')
![]()
![]()