kya karoon
zauro-jafaa ko kya karoon.... naaz-o-adaa o kya karoon, ishq hai khud mera silaa... ahad-o-wafaa ko kya karoon. apni hayaat jawindaa..... meri hayaat chand roz, woh bhi to khud-nawaaz hai... aise khuda ko kya karoon. aaj to husn ko bhi.... meri nigaah ki talash hai... jalwe hi be-naqaab hain... rasm-e-hayaa ko kya karoon. rooh main ik tarap bhi hai ... zahan main kuch sawaal bhi. sajde ko sar na jhukaa sakaa.... dast-e-duaa ko kya karoon. kaawish-e-phan main, sach hai.... naam-o-namood ki hawas. maut ke baad jo mile... aise baqaa ko kya karoon. Narindar Singh Bedi.('sukhan')
![]()
![]()