bazm uthaa baithe
Mol-tol ke shahar mein aa kar hum kya nafaa kamaa baithe Kismat nain do aankhein di theen...unko bhi dhundhlaa baithe (nafaa = profit; dhundhlaa = blurry) Jab se safar pa nikalaa hoon,dhoop ne saath nibhaayaa hai Rukaa to saaye ban gayee saathi,chalaa to haath chudhaayaa hai Ab to apne yaar bhi humko......kishton-kishton milte hain Saalim milne waale jaane kis aakaash par jaa baithe (kishton = installments; saalim = whole, one piece) Dhake dhakaaye kapron se bhi nange-nange lagte hain Isee liye hum apne se bhi apnaa aap chupaa baithe Marne waalon ko humne bhi rona chaahaa ro na sake Haaye humein yeh jeena waale kaisi hansee hasaa baithe Aankhon se hi kah dete to koi jawaab to paa lete Unse nazar milte milte sabhi sawaal bhulaa baithe raat huee to kaale-kaale, din huaa to gore hain log adhoore jismon par kirnon ki dhool jamaa baithe Yeh to jahaan bhi jaataa hai bas ulti-seedhi kahtaa hai Aaj 'sukhan' ke aate aate hum to bazm uthaa baithe ! Narindar Singh Bedi.('sukhan') August 1972
![]()
![]()